mere kalam mein pechida istiara nahin
mire kalām meñ pechīda isti.āra nahīñ
ki harf-e-sidq chhupānā mujhe gavārā nahīñ
mire liye yahī maujeñ haiñ dāman-e-iliyās
bhañvar meñ huuñ mire donoñ taraf kināra nahīñ
duā.eñ māñgtā huuñ sub.h ke ujāloñ kī
añdherī vasl kī shab bhī mujhe gavārā nahīñ
tire mizāj ke resham meñ kaise aag lagī
mirī ġhazal kā ḳhunuk lafz to sharāra nahīñ
dil-o-dimāġh ko kyā degā raushnī vo 'hazīñ'
na.ī hayāt kā jo lafz goshvāra nahīñ
mere kalam mein pechida istiara nahin
ki harf-e-sidq chhupana mujhe gawara nahin
mere liye yahi maujen hain daman-e-iliyas
bhanwar mein hun mere donon taraf kinara nahin
duaen mangta hun subh ke ujalon ki
andheri wasl ki shab bhi mujhe gawara nahin
tere mizaj ke resham mein kaise aag lagi
meri ghazal ka KHunuk lafz to sharara nahin
dil-o-dimagh ko kya dega raushni wo 'hazin'
nai hayat ka jo lafz goshwara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.