mere KHayal ki nudrat kisi ko kya malum
mire ḳhayāl kī nudrat kisī ko kyā mā'lūm
tilism-e-rang-e-tamanna hai ab huā mā'lūm
kahīñ panāh nahīñ hai hameñ to chalnā hai
agarche pairoñ meñ dam hai na rāstā mā'lūm
use uḌā ke havā le ga.ī na jaane kahāñ
kidhar lagā.egā dariyā hameñ ḳhudā mā'lūm
sitāra TuuT rahā thā to sab ne dekhā thā
gayā kahāñ ye kisī ko na ho sakā mā'lūm
use kisī ko sunā dījiye duā degā
vo ek naġhma hai ḳhāliq hai jis kā nā-mā’lūm
na jaane kis ne 'muzaffar' kī muḳhbirī kī hai
tire sivā to kisī aur ko na thā mā'lūm
mere KHayal ki nudrat kisi ko kya ma'lum
tilism-e-rang-e-tamanna hai ab hua ma'lum
kahin panah nahin hai hamein to chalna hai
agarche pairon mein dam hai na rasta ma'lum
use uDa ke hawa le gai na jaane kahan
kidhar lagaega dariya hamein KHuda ma'lum
sitara TuT raha tha to sab ne dekha tha
gaya kahan ye kisi ko na ho saka ma'lum
use kisi ko suna dijiye dua dega
wo ek naghma hai KHaliq hai jis ka na-ma’lum
na jaane kis ne 'muzaffar' ki muKHbiri ki hai
tere siwa to kisi aur ko na tha ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.