mere KHayal ki pakizgi pe chup kyon hai
mire ḳhayāl kī pākīzgī pe chup kyoñ hai
adab-navāz mirī āgahī pe chup kyoñ hai
maiñ sochtā huuñ to rāteñ siyāh hotī haiñ
zamāna aaj tirī rahbarī pe chup kyoñ hai
bhaTak rahā huuñ ye marzī usī kī hai varna
mirā ḳhudā mirī āvārgī pe chup kyoñ hai
samajh rahā hai sitāra-shanās huuñ maiñ bhī
to kuchh ḳhayāl kare vo hamī pe chup kyoñ hai
vahī to zulmat-e-shab kā gavāh thā 'bismil'
'ajab ye hai ki vahī raushnī pe chup kyoñ hai
mere KHayal ki pakizgi pe chup kyon hai
adab-nawaz meri aagahi pe chup kyon hai
main sochta hun to raaten siyah hoti hain
zamana aaj teri rahbari pe chup kyon hai
bhaTak raha hun ye marzi usi ki hai warna
mera KHuda meri aawargi pe chup kyon hai
samajh raha hai sitara-shanas hun main bhi
to kuchh KHayal kare wo hami pe chup kyon hai
wahi to zulmat-e-shab ka gawah tha 'bismil'
'ajab ye hai ki wahi raushni pe chup kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.