mere KHayal mein thi mere hafize mein thi
mere KHayal mein thi mere hafize mein thi
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
mire ḳhayāl meñ thī mere hāfize meñ thī
ajiib shai thī magar phir bhī fāsle meñ thī
badan se jaan to kab kī judā huī ya.anī
hamārī saañs abhī tak muġhālate meñ thī
hamārī niiñd jo bahkī to ye khulā ham par
hamārī aañkh tire ḳhvāb ke nashe meñ thī
vo baat hī nahīñ jānāñ kisī tasavvur meñ
jo ek baat faqat tujh ko sochne meñ thī
so aaj toḌ diyā aur ho ga.e tanhā
tamām roz se ik shakl aa.ine meñ thī
na aate sach meñ magar ḳhvāb meñ to aanā thā
dar-asl raat mirī niiñd āsare meñ thī
mere KHayal mein thi mere hafize mein thi
ajib shai thi magar phir bhi fasle mein thi
badan se jaan to kab ki juda hui yani
hamari sans abhi tak mughaalate mein thi
hamari nind jo bahki to ye khula hum par
hamari aankh tere KHwab ke nashe mein thi
wo baat hi nahin jaanan kisi tasawwur mein
jo ek baat faqat tujh ko sochne mein thi
so aaj toD diya aur ho gae tanha
tamam roz se ek shakl aaine mein thi
na aate sach mein magar KHwab mein to aana tha
dar-asl raat meri nind aasare mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.