mere KHayal se jo inhiraf karta raha
mire ḳhayāl se jo inhirāf kartā rahā
tamām 'umr maiñ us kā tavāf kartā rahā
jo shaḳhs sab se ziyāda 'azīz thā mujh ko
har ek baat vo mere ḳhilāf kartā rahā
vo chāhtā to mujhe daar par chaḌhā detā
har ek jurm magar vo mu'āf kartā rahā
vujūd jis kā thā shaffāf jhiil kī mānind
vo apne dard kā ḳhud e'tirāf kartā rahā
farāḳh-dil thā jo logoñ ke ghar basāne meñ
vo shaḳhs apne hī ghar meñ shigāf kartā rahā
har ek moḌ pe rusvā huā maiñ jis ke liye
mirī hī bātoñ se vo iḳhtilāf kartā rahā
mere KHayal se jo inhiraf karta raha
tamam 'umr main us ka tawaf karta raha
jo shaKHs sab se ziyaada 'aziz tha mujh ko
har ek baat wo mere KHilaf karta raha
wo chahta to mujhe dar par chaDha deta
har ek jurm magar wo mu'af karta raha
wujud jis ka tha shaffaf jhil ki manind
wo apne dard ka KHud e'tiraf karta raha
faraKH-dil tha jo logon ke ghar basane mein
wo shaKHs apne hi ghar mein shigaf karta raha
har ek moD pe ruswa hua main jis ke liye
meri hi baaton se wo iKHtilaf karta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.