mere KHuda na mujhe zauq-e-KHud-numai de
mire ḳhudā na mujhe zauq-e-ḳhud-numā.ī de
jo denā hai mujhe taufīq-e-pārsā.ī de
mile jo beTā to akbar sā jāñ-nisār mile
jo bhaa.ī de mujhe abbās jaisā bhaa.ī de
bhaTak rahā huuñ maiñ ik barg-e-ḳhushk kī mānind
ḳhudā kisī ko na mujh jaisī be-navā.ī de
mirī nigāh meñ jalve tire simaT aa.eñ
jahāñ maiñ jā.ūñ vahīñ tū hī tū dikhā.ī de
tirī razā kī hai ḳhvāhish qadam qadam pe mujhe
jo chāhte haiñ ḳhudā.ī unheñ ḳhudā.ī de
mere KHuda na mujhe zauq-e-KHud-numai de
jo dena hai mujhe taufiq-e-parsai de
mile jo beTa to akbar sa jaan-nisar mile
jo bhai de mujhe abbas jaisa bhai de
bhaTak raha hun main ek barg-e-KHushk ki manind
KHuda kisi ko na mujh jaisi be-nawai de
meri nigah mein jalwe tere simaT aaen
jahan main jaun wahin tu hi tu dikhai de
teri raza ki hai KHwahish qadam qadam pe mujhe
jo chahte hain KHudai unhen KHudai de
- Book : احساس کے نشاں (Pg. 35)
- Author : قمر انجم
- Publication : ایم آر پبلی کیشن (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.