mere KHuda tu mujhe KHud se aashna kar de
mire ḳhudā tū mujhe ḳhud se āshnā kar de
maiñ terī shab se bhaTkūñ mujhe fanā kar de
tamām umr vo mere visāl ko tarse
tū us ke dil ko judā.ī se āshnā kar de
vo ham ko duur se dekhe taḌap ke rah jaa.e
hamāre beach meñ tū itnā fāsla kar de
maiñ us ke ba.ad se tanhā huuñ ek muddat se
kisī ko bhej de duniyā meñ aasrā kar de
maiñ terī shab se ġhāfil na hone pā.ūñ kabhī
tū apnī zaat meñ kuchh itnā mubtalā kar de
bas ek āḳhirī ḳhvāhish hai tere 'kāshif' kī
tū apne paas bulā le use rihā kar de
mere KHuda tu mujhe KHud se aashna kar de
main teri shab se bhaTkun mujhe fana kar de
tamam umr wo mere visal ko tarse
tu us ke dil ko judai se aashna kar de
wo hum ko dur se dekhe taDap ke rah jae
hamare beach mein tu itna fasla kar de
main us ke baad se tanha hun ek muddat se
kisi ko bhej de duniya mein aasra kar de
main teri shab se ghafil na hone paun kabhi
tu apni zat mein kuchh itna mubtala kar de
bas ek aaKHiri KHwahish hai tere 'kashif' ki
tu apne pas bula le use riha kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.