mere KHulus ka jab aapko KHayal nahin
mire ḳhulūs kā jab aap ko ḳhayāl nahīñ
mujhe bhī tark-e-ta.alluq kā kuchh malāl nahīñ
haiñ zaḳhm-e-shauq mirī zindagī kā sarmāya
huuñ mutma.in ki mujhe fikr-e-indimāl nahīñ
havādisāt-e-zamāna mirī zarūrat haiñ
qadam qadam pe mile haiñ ye ḳhāl-ḳhāl nahīñ
mile jo ḳhaak meñ sarsabz ho vahī daana
hai pā.emāl vahī jo ki pā.emāl nahīñ
tū ḳhaak hai tirī azmat hai ḳhāksārī meñ
zavāl us kā muqaddar jise zavāl nahīñ
har ek gaam ujālā har ik qadam saa.e
jahān-e-ġham meñ koī hādisa muhāl nahīñ
nasīb hotā koī ġham to jāgtī qismat
kisī ko us se to 'nāshād' qīl-o-qāl nahīñ
mere KHulus ka jab aap ko KHayal nahin
mujhe bhi tark-e-talluq ka kuchh malal nahin
hain zaKHm-e-shauq meri zindagi ka sarmaya
hun mutmain ki mujhe fikr-e-indimal nahin
hawadisat-e-zamana meri zarurat hain
qadam qadam pe mile hain ye KHal-KHal nahin
mile jo KHak mein sarsabz ho wahi dana
hai paemal wahi jo ki paemal nahin
tu KHak hai teri azmat hai KHaksari mein
zawal us ka muqaddar jise zawal nahin
har ek gam ujala har ek qadam sae
jahan-e-gham mein koi hadisa muhaal nahin
nasib hota koi gham to jagti qismat
kisi ko us se to 'nashad' qil-o-qal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.