mere KHulus ki shiddat se koi Dar bhi gaya
mire ḳhulūs kī shiddat se koī Dar bhī gayā
vo paas aa to rahā thā magar Thahar bhī gayā
ye dekhnā thā bachāne bhī koī aatā hai
agar maiñ Duub rahā thā to ḳhud ubhar bhī gayā
ai rāste ke darḳhto sameT lo saaya
tumhāre jaal se bach kar koī guzar bhī gayā
kisī tarah se tumhārī jabīñ chamak to ga.ī
ye aur baat siyāhī meñ haath bhar bhī gayā
usī pahāḌ ne phūñke the kyā ka.ī jañgal
jo ḳhaak ho ke mire haath par bikhar bhī gayā
yahīñ kahīñ mire hoñToñ ke paas phirtā hai
vo ek lafz ki jo zehn se utar bhī gayā
vo shāḳh jhuul ga.ī jis pe paañv qaa.em the
'shakeb' varna mirā haath tā-samar bhī gayā
mere KHulus ki shiddat se koi Dar bhi gaya
wo pas aa to raha tha magar Thahar bhi gaya
ye dekhna tha bachane bhi koi aata hai
agar main Dub raha tha to KHud ubhar bhi gaya
ai raste ke darKHto sameT lo saya
tumhaare jal se bach kar koi guzar bhi gaya
kisi tarah se tumhaari jabin chamak to gai
ye aur baat siyahi mein hath bhar bhi gaya
usi pahaD ne phunke the kya kai jangal
jo KHak ho ke mere hath par bikhar bhi gaya
yahin kahin mere honTon ke pas phirta hai
wo ek lafz ki jo zehn se utar bhi gaya
wo shaKH jhul gai jis pe panw qaem the
'shakeb' warna mera hath ta-samar bhi gaya
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 426)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.