mere KHwabon mein thi taswir kaisi
mire ḳhvāboñ meñ thī tasvīr kaisī
milī hai ḳhvāb kī ta.abīr kaisī
mujhe to ghar bhī ab zindāñ lage hai
paḌī hai paañv meñ zanjīr kaisī
sabhī ye lafz muñh se bolte haiñ
hai is kī shoḳhi-e-tahrīr kaisī
muqaddar kā likhā miTtā nahīñ hai
jo miT jaa.e to phir taqdīr kaisī
ḳhatā itnī hai sachchī baat kah dī
ye sachchī baat par ta.azīr kaisī
mere KHwabon mein thi taswir kaisi
mili hai KHwab ki tabir kaisi
mujhe to ghar bhi ab zindan lage hai
paDi hai panw mein zanjir kaisi
sabhi ye lafz munh se bolte hain
hai is ki shoKHi-e-tahrir kaisi
muqaddar ka likha miTta nahin hai
jo miT jae to phir taqdir kaisi
KHata itni hai sachchi baat kah di
ye sachchi baat par tazir kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.