mere labon pe gham-e-zindagi ki baat nahin
mire laboñ pe ġham-e-zindagī kī baat nahīñ
kuchh mujh ko fikr-e-ilāj-e-ġham-e-hayāt nahīñ
maiñ āshnā-e-ġham-e-kā.enāt huuñ lekin
mire malāl se āgāh kā.enāt nahīñ
ġham-e-hayāt ko siine se jo lagā na sake
mirī nazar meñ vo shā.ista-e-hayāt nahīñ
binā-e-husn-e-ruḳh-e-kā.enāt ham bhī haiñ
tumhīñ se dilkashī-e-bazm-e-kā.enāt nahīñ
haiñ zindagī kī bahāreñ unheñ nasīb to kyā
jinheñ shu.ūr-e-chaman-bandī-e-hayāt nahīñ
kise sunā.eñ ġham-e-zindagī ke afsāne
yahāñ koī bhī to āsūda-e-hayāt nahīñ
tirī jafā.eñ bhī mujh ko aziiz haiñ lekin
ye kyā ki mujh pe tirī chashm-e-iltifāt nahīñ
balā se ishrat-e-imroz ḳhvāb ho ki ḳhayāl
'atīq' rāhat-e-fardā to be-sabāt nahīñ
mere labon pe gham-e-zindagi ki baat nahin
kuchh mujh ko fikr-e-ilaj-e-gham-e-hayat nahin
main aashna-e-gham-e-kaenat hun lekin
mere malal se aagah kaenat nahin
gham-e-hayat ko sine se jo laga na sake
meri nazar mein wo shaista-e-hayat nahin
bina-e-husn-e-ruKH-e-kaenat hum bhi hain
tumhin se dilkashi-e-bazm-e-kaenat nahin
hain zindagi ki bahaaren unhen nasib to kya
jinhen shuur-e-chaman-bandi-e-hayat nahin
kise sunaen gham-e-zindagi ke afsane
yahan koi bhi to aasuda-e-hayat nahin
teri jafaen bhi mujh ko aziz hain lekin
ye kya ki mujh pe teri chashm-e-iltifat nahin
bala se ishrat-e-imroz KHwab ho ki KHayal
'atiq' rahat-e-farda to be-sabaat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.