mere lafzon ko KHayalon se jila deta hai
mire lafzoñ ko ḳhayāloñ se jilā detā hai
kaun hai vo jo mujhe mujh se milā detā hai
jab bhī guzre mire āñgan se vafā kā mausam
terī chāhat kā nayā phuul khilā detā hai
us se ḳhalvat meñ mulāqāt kā aalam kyā ho
jo nigāhoñ se sar-e-bazm pilā detā hai
maiñ muāfī to use de duuñ magar sach ye hai
jhuuT har rishte kī buniyād hilā detā hai
mere lafzon ko KHayalon se jila deta hai
kaun hai wo jo mujhe mujh se mila deta hai
jab bhi guzre mere aangan se wafa ka mausam
teri chahat ka naya phul khila deta hai
us se KHalwat mein mulaqat ka aalam kya ho
jo nigahon se sar-e-bazm pila deta hai
main muafi to use de dun magar sach ye hai
jhuT har rishte ki buniyaad hila deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.