mere lahu ki tamazat hai aur akela main
mire lahū kī tamāzat hai aur akelā maiñ
añdherī shab kī masāfat hai aur akelā maiñ
mire qabīle meñ bhī sach kā qatl hotā hai
vahī purānī rivāyat hai aur akelā maiñ
na.e shu.ūr kā insān mujh meñ zinda hai
zamāne bhar kī malāmat hai aur akelā maiñ
maiñ apnī jang meñ nākām ho nahīñ saktā
mire ḳhayāl kī tāqat hai aur akelā maiñ
talāsh kā ye safar itnā sahl bhī to nahīñ
koī balā koī dahshat hai aur akelā maiñ
mirī ġhazal ye mirā fan ye shā.erī 'shaukat'
na.e dinoñ kī bashārat hai aur akelā maiñ
mere lahu ki tamazat hai aur akela main
andheri shab ki masafat hai aur akela main
mere qabile mein bhi sach ka qatl hota hai
wahi purani riwayat hai aur akela main
nae shuur ka insan mujh mein zinda hai
zamane bhar ki malamat hai aur akela main
main apni jang mein nakaam ho nahin sakta
mere KHayal ki taqat hai aur akela main
talash ka ye safar itna sahl bhi to nahin
koi bala koi dahshat hai aur akela main
meri ghazal ye mera fan ye shaeri 'shaukat'
nae dinon ki bashaarat hai aur akela main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.