mere lahu se hai ek rang-e-nau bahaar-e-ghazal
mire lahū se hai ik rang-e-nau bahār-e-ġhazal
ġharīb-e-shahr huuñ lekin huuñ shahr-yār-e-ġhazal
jo chhū ke niklī hai mauj-e-nasīm-e-ishq kabhī
mahak mahak uThe gesū-e-tābdār-e-ġhazal
ḳhulūs-e-ishq-o-ḳhulūs-e-hayāt kī tasvīr
har ek sher ġhazal hai ki shāhkār-e-ġhazal
hamāre ġham meñ ġham-e-ishq-e-kā.enāt bhī hai
hamāre ashkoñ se shādāb hai bahār-e-ġhazal
hamāre zauq-e-junūñ se hai kā.enāt hasīñ
ham ahl-e-ishq se hai raunaq-e-dayār-e-ġhazal
vo kā.enāt kā dukh-sukh ġhazal ke parde meñ
huā na 'mīr' sā phir koī shahr-yār-e-ġhazal
mere lahu se hai ek rang-e-nau bahaar-e-ghazal
gharib-e-shahr hun lekin hun shahr-yar-e-ghazal
jo chhu ke nikli hai mauj-e-nasim-e-ishq kabhi
mahak mahak uThe gesu-e-tabdar-e-ghazal
KHulus-e-ishq-o-KHulus-e-hayat ki taswir
har ek sher ghazal hai ki shahkar-e-ghazal
hamare gham mein gham-e-ishq-e-kaenat bhi hai
hamare ashkon se shadab hai bahaar-e-ghazal
hamare zauq-e-junun se hai kaenat hasin
hum ahl-e-ishq se hai raunaq-e-dayar-e-ghazal
wo kaenat ka dukh-sukh ghazal ke parde mein
hua na 'mir' sa phir koi shahr-yar-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.