mere liye tera hona aham ziyaada hai
Interesting Fact
Dedicated to Zia-ul-Hasan
mire liye tirā honā aham ziyāda hai
ye baaqī zikr-e-vajūd-o-adam ziyāda hai
vo ḳhālī-pan hai kahīñ kuchh kashish nahīñ hai mujhe
koī ḳhushī hai bahut aur na ġham ziyāda hai
tire baġhair zarūrat hī kyā paḌī hai mujhe
tire baġhair ye dam hai so dam ziyāda hai
ye merī aañkh hai yaañ ḳhvāb kaise Thahreñge
ki sīm-ḳhurda zamīñ hai jo nam ziyāda hai
mirā ye dil ki jise koī pech-o-tāb nahīñ
tirī ye zulf jise pech-o-ḳham ziyāda hai
tū ḳhuub jāntā hai yār-e-be-niyāz ki ab
junūñ bahut hai mujhe phir bhī kam ziyāda hai
mere liye tera hona aham ziyaada hai
ye baqi zikr-e-wajud-o-adam ziyaada hai
wo KHali-pan hai kahin kuchh kashish nahin hai mujhe
koi KHushi hai bahut aur na gham ziyaada hai
tere baghair zarurat hi kya paDi hai mujhe
tere baghair ye dam hai so dam ziyaada hai
ye meri aankh hai yan KHwab kaise Thahrenge
ki sim-KHurda zamin hai jo nam ziyaada hai
mera ye dil ki jise koi pech-o-tab nahin
teri ye zulf jise pech-o-KHam ziyaada hai
tu KHub jaanta hai yar-e-be-niyaz ki ab
junun bahut hai mujhe phir bhi kam ziyaada hai
- Book : Aankh Bhar Tamasha Hai (Pg. 63)
- Author : Ahmad Ata
- Publication : Sanjh Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.