mere liye to ye bekar hone wala hai
mire liye to ye bekār hone vaalā hai
ye dil ki dard se bezār hone vaalā hai
maiñ us se ḳhvāb ke raste pe milne aayā huuñ
magar vo niiñd se bedār hone vaalā hai
jo faisla sar-e-darbār hone vaalā thā
vo faisla pas-e-dīvār hone vaalā hai
sunā hai yūsuf-e-sānī vahāñ nahīñ aayā
sunā hai ḳhatm vo bāzār hone vaalā hai
vo jis ke haath se qisse ne maut paa.ī hai
sunā hai sāhab-e-kirdār hone vaalā hai
mere liye to ye bekar hone wala hai
ye dil ki dard se bezar hone wala hai
main us se KHwab ke raste pe milne aaya hun
magar wo nind se bedar hone wala hai
jo faisla sar-e-darbar hone wala tha
wo faisla pas-e-diwar hone wala hai
suna hai yusuf-e-sani wahan nahin aaya
suna hai KHatm wo bazar hone wala hai
wo jis ke hath se qisse ne maut pai hai
suna hai sahab-e-kirdar hone wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.