mere log KHema-e-sabr mein mere shahr gard-e-malal mein
mire log ḳhema-e-sabr meñ mire shahr gard-e-malāl meñ
abhī kitnā vaqt hai ai ḳhudā in udāsiyoñ ke zavāl meñ
kabhī mauj-e-ḳhvāb meñ kho gayā kabhī thak ke ret pe so gayā
yūñhī umr saarī guzār dī faqat ārzū-e-visāl meñ
kahīñ gardishoñ ke bhañvar meñ huuñ kisī chaak par maiñ chaḌhā huā
kahīñ merī ḳhaak jamī huī kisī dasht-e-barf-misāl meñ
ye havā-e-ġham ye fazā-e-nam mujhe ḳhauf hai ki na Daal de
koī parda merī nigāh par koī raḳhna tere jamāl meñ
mere log KHema-e-sabr mein mere shahr gard-e-malal mein
abhi kitna waqt hai ai KHuda in udasiyon ke zawal mein
kabhi mauj-e-KHwab mein kho gaya kabhi thak ke ret pe so gaya
yunhi umr sari guzar di faqat aarzu-e-visal mein
kahin gardishon ke bhanwar mein hun kisi chaak par main chaDha hua
kahin meri KHak jami hui kisi dasht-e-barf-misal mein
ye hawa-e-gham ye faza-e-nam mujhe KHauf hai ki na Dal de
koi parda meri nigah par koi raKHna tere jamal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.