mere maula tera tohfa hai ye ilham mujhe
mire maulā tirā tohfa hai ye ilhām mujhe
arsh se aane lage haiñ ka.ī paiġhām mujhe
hijr meñ baiTh ke ronā hī nahīñ mujh par farz
aur bhī karne haiñ ai dost ka.ī kaam mujhe
jaise ik abr chalā aa.e barasne ke liye
aise aatī hai tirī yaad sar-e-shām mujhe
is liye ishq kī bīmārī se Dartā huuñ maiñ
ain-mumkin hai ke phir aa.e na ārām mujhe
is liye hī to ise maiñ ne banāyā tasbīh
saañs lene meñ hai āsānī tirā naam mujhe
is ko pahnā to ka.ī sabz parinde dekhe
ek darvesh ne lā kar diyā ehrām mujh
mere maula tera tohfa hai ye ilham mujhe
arsh se aane lage hain kai paigham mujhe
hijr mein baiTh ke rona hi nahin mujh par farz
aur bhi karne hain ai dost kai kaam mujhe
jaise ek abr chala aae barasne ke liye
aise aati hai teri yaad sar-e-sham mujhe
is liye ishq ki bimari se Darta hun main
ain-mumkin hai ke phir aae na aaram mujhe
is liye hi to ise main ne banaya tasbih
sans lene mein hai aasani tera nam mujhe
is ko pahna to kai sabz parinde dekhe
ek darwesh ne la kar diya ehram mujh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.