mere mizaj ko suraj se joDta kyun hai
mire mizāj ko sūraj se joḌtā kyuuñ hai
maiñ dhuup huuñ mujhe nāhaq sikoḌtā kyuuñ hai
agar ye sach hai ki tū merā ḳhvāb hai to batā
ki aañkh lagte hī mujh ko jhiñjhoḌtā kyuuñ hai
udhar bhī tū hai idhar bhī jo sirf tū hī hai
to phir ye biich kī dīvār toḌtā kyuuñ hai
maiñ tere va.ade ko jab āñsuoñ se dhotī huuñ
har ek lafz tirā rañg chhoḌtā kyuuñ hai
magar ye dil hai ki kyā jaane terī bātoñ se
tarah tarah ke bahāne nichoḌtā kyuuñ hai
mere mizaj ko suraj se joDta kyun hai
main dhup hun mujhe nahaq sikoDta kyun hai
agar ye sach hai ki tu mera KHwab hai to bata
ki aankh lagte hi mujh ko jhinjhoDta kyun hai
udhar bhi tu hai idhar bhi jo sirf tu hi hai
to phir ye bich ki diwar toDta kyun hai
main tere wade ko jab aansuon se dhoti hun
har ek lafz tera rang chhoDta kyun hai
magar ye dil hai ki kya jaane teri baaton se
tarah tarah ke bahane nichoDta kyun hai
- Book : Goonj (Pg. 112)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.