Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai

Owais Ahmad Dauran

mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai

Owais Ahmad Dauran

MORE BYOwais Ahmad Dauran

    mire nā-rasā tasavvur ne surāġh liyā hai

    maiñ patā lagā chukā huuñ kahāñ kahāñ chhupā hai

    mujhe kaun sar-bulandī taraf bulā rahā hai

    mirā nargisī taḳhayyul to shikast khā chukā hai

    tujhe qātiloñ ke narġhe se chhuḌā.egā na koī

    ye hai maqtal ai musāfir kise pukārtā hai

    sar-e-shām jo ġharīboñ ke diye bujhā rahī haiñ

    unhīñ sāzishoñ markaz ye tirī mahal-sarā hai

    koī mausamī parindoñ se kahe idhar na aa.eñ

    abhī mere gulsitāñ baḌī muzmahil fazā hai

    sun ai merī pyārī duniyā mirī be-qarār duniyā

    tirā dard-mand shā'ir tire giit rahā hai

    vo ba-zo'm-e-ḳhud gulsitāñ hai sarbarāh 'daurāñ'

    jo vo chāhe so karegā use kaun roktā hai

    mere na-rasa tasawwur ne suragh pa liya hai

    main pata laga chuka hun tu kahan kahan chhupa hai

    mujhe kaun sar-bulandi ki taraf bula raha hai

    mera nargisi taKHayyul to shikast kha chuka hai

    tujhe qatilon ke narghe se chhuDaega na koi

    ye hai maqtal ai musafir tu kise pukarta hai

    sar-e-sham jo gharibon ke diye bujha rahi hain

    unhin sazishon ka markaz ye teri mahal-sara hai

    koi mausami parindon se kahe idhar na aaen

    abhi mere gulsitan ki baDi muzmahil faza hai

    sun ai meri pyari duniya meri be-qarar duniya

    tera dard-mand sha'ir tere git ga raha hai

    wo ba-zo'm-e-KHud gulsitan ka hai sarbarah 'dauran'

    jo wo chahe so karega use kaun rokta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now