mere nalon mein ham-sar josh-e-dariya ho nahin sakta
mere nalon mein ham-sar josh-e-dariya ho nahin sakta
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
mire nāloñ meñ ham-sar josh-e-dariyā ho nahīñ saktā
mirā ham-gard sahrā meñ bagūlā ho nahīñ saktā
davā se hijr kā bīmār achchhā ho nahīñ saktā
duā se dekheñ ho saktā hai kuchh yā ho nahīñ saktā
vo bulbul huuñ ki fasl-e-gul meñ ġhauġhā ho nahīñ saktā
vo tuutī huuñ ki ā.īne se goyā ho nahīñ saktā
girāñ-jānī bhī is sanjīdgī ke saath hai mujh meñ
ki koh-e-kohkan pāsañg merā ho nahīñ saktā
chhupāo shakl yā taqrīr par be-parda kahtā huuñ
ki mujh ko tum se tum ko mujh se pardā ho nahīñ saktā
vo zarra huuñ ki ḳhurshīd-e-qayāmat bhī na chamkā.e
vo qatra huuñ samundar se bhī dariyā ho nahīñ saktā
vo gumrah huuñ ki ḳhizr aa.e hidāyat ko to gumrāh ho
vo murda huuñ ki iisā se bhī zinda ho nahīñ saktā
vo vahshī huuñ ki mujh se bhāgtā hai āhū-e-vahshat
vo majnūñ huuñ koī ham-pesha merā ho nahīñ saktā
vo sar-gashta huuñ vahshat har qadam chakrātī hai mujh se
mire daure meñ koī sar-ba-sahrā ho nahīñ saktā
qubūl-e-ḳhātir-o-lutf-e-suḳhan ai 'rashk' aur hī hai
nahīñ to shā.iroñ se aur kyā kyā ho nahīñ saktā
mere nalon mein ham-sar josh-e-dariya ho nahin sakta
mera ham-gard sahra mein bagula ho nahin sakta
dawa se hijr ka bimar achchha ho nahin sakta
dua se dekhen ho sakta hai kuchh ya ho nahin sakta
wo bulbul hun ki fasl-e-gul mein ghaugha ho nahin sakta
wo tuti hun ki aaine se goya ho nahin sakta
giran-jaani bhi is sanjidgi ke sath hai mujh mein
ki koh-e-kohkan pasang mera ho nahin sakta
chhupao shakl ya taqrir par be-parda kahta hun
ki mujh ko tum se tum ko mujh se parda ho nahin sakta
wo zarra hun ki KHurshid-e-qayamat bhi na chamkae
wo qatra hun samundar se bhi dariya ho nahin sakta
wo gumrah hun ki KHizr aae hidayat ko to gumrah ho
wo murda hun ki isa se bhi zinda ho nahin sakta
wo wahshi hun ki mujh se bhagta hai aahu-e-wahshat
wo majnun hun koi ham-pesha mera ho nahin sakta
wo sar-gashta hun wahshat har qadam chakraati hai mujh se
mere daure mein koi sar-ba-sahra ho nahin sakta
qubul-e-KHatir-o-lutf-e-suKHan ai 'rashk' aur hi hai
nahin to shairon se aur kya kya ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.