mere nasib ka likkha badal bhi sakta tha
mire nasīb kā likkhā badal bhī saktā thā
vo chāhtā to mire saath chal bhī saktā thā
ye tū ne Thiik kiyā apnā haath khīñch liyā
mire laboñ se tirā haath jal bhī saktā thā
uḌātī rahtī hai duniyā ġhalat-salat bāteñ
vo sang-dil thā to ik din pighal bhī saktā thā
utar gayā tirā ġham ruuh kī fazāoñ meñ
ragoñ meñ hotā to āñkhoñ se Dhal bhī saktā thā
maiñ Thiik vaqt pe ḳhāmosh ho gayā varna
mire rafīqoñ kā lahja badal bhī saktā thā
anā ko dhuup meñ rahnā pasand thā varna
tire ġhurūr kā sūraj to Dhal bhī saktā thā
ragaḌ sakī na mirī pyaas eḌiyāñ varna
har ek zarre se chashma ubal bhī saktā thā
pasand aa.ī na TuuTī huī fasīl kī raah
maiñ shahr-e-tan kī ghuTan se nikal bhī saktā thā
vo lamha jis ne mujhe reza-reza kar Daalā
kisī ke bas meñ jo hotā to Tal bhī saktā thā
mere nasib ka likkha badal bhi sakta tha
wo chahta to mere sath chal bhi sakta tha
ye tu ne Thik kiya apna hath khinch liya
mere labon se tera hath jal bhi sakta tha
uDati rahti hai duniya ghalat-salat baaten
wo sang-dil tha to ek din pighal bhi sakta tha
utar gaya tera gham ruh ki fazaon mein
ragon mein hota to aankhon se Dhal bhi sakta tha
main Thik waqt pe KHamosh ho gaya warna
mere rafiqon ka lahja badal bhi sakta tha
ana ko dhup mein rahna pasand tha warna
tere ghurur ka suraj to Dhal bhi sakta tha
ragaD saki na meri pyas eDiyan warna
har ek zarre se chashma ubal bhi sakta tha
pasand aai na TuTi hui fasil ki rah
main shahr-e-tan ki ghuTan se nikal bhi sakta tha
wo lamha jis ne mujhe reza-reza kar Dala
kisi ke bas mein jo hota to Tal bhi sakta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.