mere nasib ne jab mujhse intiqam liya
mire nasīb ne jab mujh se intiqām liyā
kahāñ kahāñ tirī yādoñ ne haath thaam liyā
fazā kī aañkh bhar aa.ī havā kā rañg uḌā
sukūt-e-shām ne chupke se terā naam liyā
vo maiñ nahīñ thā ki ik harf bhī na kah paayā
vo bebasī thī ki jis ne tirā salām liyā
har ik ḳhushī ne tire ġham kī aabrū rakh lī
har ik ḳhushī se tire ġham ne intiqām liyā
vo ma.arka thā ki fat.h o shikast bhī na milī
na jaane 'shāz' ne kis maslahat se kaam liyā
mere nasib ne jab mujh se intiqam liya
kahan kahan teri yaadon ne hath tham liya
faza ki aankh bhar aai hawa ka rang uDa
sukut-e-sham ne chupke se tera nam liya
wo main nahin tha ki ek harf bhi na kah paya
wo bebasi thi ki jis ne tera salam liya
har ek KHushi ne tere gham ki aabru rakh li
har ek KHushi se tere gham ne intiqam liya
wo marka tha ki fath o shikast bhi na mili
na jaane 'shaz' ne kis maslahat se kaam liya
- Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 300)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.