mere panw ke niche bhi zamin hai
mire paañv ke nīche bhī zamīñ hai
mujhe hijrat kā koī dukh nahīñ hai
kabhī nā-āshnā tujhe saare raste
magar har rāsta ab dil-nashīñ hai
kabhī saare hī mausam ajnabī the
magar ab dil meñ har mausam makīñ hai
kabhī merā badan hī thā yahāñ par
magar ab dil kī duniyā bhī yahīñ hai
kabhī har shaam be-manzar yahāñ thī
magar har shaam ab behad hasīñ hai
to kyā maiñ naqsh-e-māzī bhuul baiThā
nahīñ aisā nahīñ aisā nahīñ hai
havā.eñ dost ban jaa.eñ jahāñ par
vahī 'ashfāq' dil kī sar-zamīñ hai
mere panw ke niche bhi zamin hai
mujhe hijrat ka koi dukh nahin hai
kabhi na-ashna tujhe sare raste
magar har rasta ab dil-nashin hai
kabhi sare hi mausam ajnabi the
magar ab dil mein har mausam makin hai
kabhi mera badan hi tha yahan par
magar ab dil ki duniya bhi yahin hai
kabhi har sham be-manzar yahan thi
magar har sham ab behad hasin hai
to kya main naqsh-e-mazi bhul baiTha
nahin aisa nahin aisa nahin hai
hawaen dost ban jaen jahan par
wahi 'ashfaq' dil ki sar-zamin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.