mere qatil main tujhe chahunga dollar ki tarah
mire qātil maiñ tujhe chāhūñgā dollar kī tarah
tujh pe likkhūñgā qasīde kisī shā'ir kī tarah
mirī pahchān shafaq-rang banegī terī
tujh ko chāhūñgā ba-sad-shauq maiñ ahmar kī tarah
khet vīrān raheñ mere ki banjar ab ke
DhūñD lūñgā tirī daulat ko maiñ zar-gar kī tarah
jashn kar leñge bapā jiit kā go haar hī ho
boTiyāñ nocheñge ham bhī kisī burger kī tarah
ham tirī chaah meñ rakh leñge jabīñ par sūraj
vo nigal leñ hameñ chāhe kisī azhdar kī tarah
ham bhī ho jaa.eñ tanau-mand tirī duniyā meñ
kyoñ phireñ ham bhī zamāne meñ ye lāġhar kī tarah
daur koī bhī nahīñ rahtā hai qaa.em har dam
parda-sīmīñ se miTeñge sabhī manzar kī tarah
mere qatil main tujhe chahunga dollar ki tarah
tujh pe likkhunga qaside kisi sha'ir ki tarah
meri pahchan shafaq-rang banegi teri
tujh ko chahunga ba-sad-shauq main ahmar ki tarah
khet viran rahen mere ki banjar ab ke
DhunD lunga teri daulat ko main zar-gar ki tarah
jashn kar lenge bapa jit ka go haar hi ho
boTiyan nochenge hum bhi kisi burger ki tarah
hum teri chah mein rakh lenge jabin par suraj
wo nigal len hamein chahe kisi azhdar ki tarah
hum bhi ho jaen tanau-mand teri duniya mein
kyon phiren hum bhi zamane mein ye laghar ki tarah
daur koi bhi nahin rahta hai qaem har dam
parda-simin se miTenge sabhi manzar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.