mere qarib wo aaya tha ru-ba-ru na hua
mire qarīb vo aaya thā rū-ba-rū na huā
nazar milā ke bhī mā.il-ba-guftugū na huā
ḳhizāñ ba-dosh har ik phuul hai kalī be-rang
kaf-e-bahār se gulshan bhī mushk-bū na huā
fazā meñ habs thā mauj-e-havā bhī sākit thī
tirī vafā kā magar phuul be numū na huā
maiñ kis ko apne lahu kā ḳhirāj pesh karūñ
mire lahū se to maqtal bhī surḳh-rū na huā
pahan liyā hai sar-e-dār ḳhuuñ kā pairāhan
sitam to ye hai ki shāmil mirā lahū na huā
chhalaktā jaam thā saaqī thā mai-kada bhī thā
magar ye lab kabhī minnat-kash-e-subū na huā
mere qarib wo aaya tha ru-ba-ru na hua
nazar mila ke bhi mail-ba-guftugu na hua
KHizan ba-dosh har ek phul hai kali be-rang
kaf-e-bahaar se gulshan bhi mushk-bu na hua
faza mein habs tha mauj-e-hawa bhi sakit thi
teri wafa ka magar phul be numu na hua
main kis ko apne lahu ka KHiraj pesh karun
mere lahu se to maqtal bhi surKH-ru na hua
pahan liya hai sar-e-dar KHun ka pairahan
sitam to ye hai ki shamil mera lahu na hua
chhalakta jam tha saqi tha mai-kada bhi tha
magar ye lab kabhi minnat-kash-e-subu na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.