mere raqib se hans kar kalam karte hue
mire raqīb se hañs kar kalām karte hue
guzar gayā hai vo mujh ko salām karte hue
ajab ki Dūbne vaalā to mutma.in hai magar
Darā huā hai samundar ye kaam karte hue
vo jis ke sāmne saste meñ rakh diyā ḳhud ko
ulajh paḌā hai vo gāhak bhī daam karte hue
mire vajūd pe qābiz huā vo pal bhar meñ
nazar kī teġh se dil ko ġhulām karte hue
bache-kuchhe se ye pal bhī guzar hī jā.eñge
kisī kī yaad meñ sāhil pe shaam karte hue
qasam ḳhudā kī ye girya na dekh pā.ūñgā
ḳhushī se jā.iye rishta tamām karte hue
'zakī' ye pyaar hī pahchān ban gayā merī
maiñ ḳhaas ho gayā ulfat ko aam karte hue
mere raqib se hans kar kalam karte hue
guzar gaya hai wo mujh ko salam karte hue
ajab ki Dubne wala to mutmain hai magar
Dara hua hai samundar ye kaam karte hue
wo jis ke samne saste mein rakh diya KHud ko
ulajh paDa hai wo gahak bhi dam karte hue
mere wajud pe qabiz hua wo pal bhar mein
nazar ki tegh se dil ko ghulam karte hue
bache-kuchhe se ye pal bhi guzar hi jaenge
kisi ki yaad mein sahil pe sham karte hue
qasam KHuda ki ye girya na dekh paunga
KHushi se jaiye rishta tamam karte hue
'zaki' ye pyar hi pahchan ban gaya meri
main KHas ho gaya ulfat ko aam karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.