mere riyaz ka aaKHir asar dikhai diya
mire riyāz kā āḳhir asar dikhā.ī diyā
chhupā thā dil meñ jo naġhma mujhe sunā.ī diyā
jahāñ-shanās o ḳhud-āgāh kar diyā mujh ko
mire shu.ūr ne vo dard-e-āshnā.ī diyā
jo pā liyā tujhe maiñ ḳhud ko DhūñDne niklā
tumhāre qurb ne bhī zaḳhm-e-nā-rasā.ī diyā
abhī to toḌ thake bāzuoñ kī patvāreñ
vo duur ufuq pe koī bādbāñ dikhā.ī diyā
zamāne biit ga.e dasht dasht phirne ke
na.e shu.ūr ne ham ko safar ḳhalā.ī diyā
mere riyaz ka aaKHir asar dikhai diya
chhupa tha dil mein jo naghma mujhe sunai diya
jahan-shanas o KHud-agah kar diya mujh ko
mere shuur ne wo dard-e-ashnai diya
jo pa liya tujhe main KHud ko DhunDne nikla
tumhaare qurb ne bhi zaKHm-e-na-rasai diya
abhi to toD thake bazuon ki patwaren
wo dur ufuq pe koi baadban dikhai diya
zamane bit gae dasht dasht phirne ke
nae shuur ne hum ko safar KHalai diya
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.