mere rog ka na malal kar mere chaaragar
mire rog kā na malāl kar mire chāragar
maiñ baḌā huā ise paal kar mire chāragar
sabhī dard chun mire jism se kisī ism se
mirā ang ang bahāl kar mire chāragar
mujhe sī de sozan-e-dard rishta-e-zard se
mujhe zabt-e-ġham se bahāl kar mire chāragar
mujhe chiir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se
mirā indimāl muhāl kar mire chāragar
ye badan ke aarzī ghaav haiñ unheñ chhoḌ de
mire zaḳhm-e-dil kā ḳhayāl kar mire chāragar
faqat ek qatra-e-ashk merā ilaaj hai
mujhe mubtalā-e-malāl kar mire chāragar
maiñ jahān-e-dard meñ kho gayā tujhe kyā milā
mujhe imtihān meñ Daal kar mire chāragar
mujhe apne zaḳhm kī ḳhud bhī koī ḳhabar nahīñ
so na mujh se koī savāl kar mire chāragar
tirā haal dekh ke ro.egā tirā chāragar
mirā dil na dekh nikāl kar mire chāragar
mere rog ka na malal kar mere chaaragar
main baDa hua ise pal kar mere chaaragar
sabhi dard chun mere jism se kisi ism se
mera ang ang bahaal kar mere chaaragar
mujhe si de sozan-e-dard rishta-e-zard se
mujhe zabt-e-gham se bahaal kar mere chaaragar
mujhe chir nashtar-e-ishq soz-e-sarishk se
mera indimal muhaal kar mere chaaragar
ye badan ke aarzi ghaw hain unhen chhoD de
mere zaKHm-e-dil ka KHayal kar mere chaaragar
faqat ek qatra-e-ashk mera ilaj hai
mujhe mubtala-e-malal kar mere chaaragar
main jahan-e-dard mein kho gaya tujhe kya mila
mujhe imtihan mein Dal kar mere chaaragar
mujhe apne zaKHm ki KHud bhi koi KHabar nahin
so na mujh se koi sawal kar mere chaaragar
tera haal dekh ke roega tera chaaragar
mera dil na dekh nikal kar mere chaaragar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.