mere sath chalte-chalte ye kahan Thahar gae tum
mire saath chalte-chalte ye kahāñ Thahar ga.e tum
shab-e-ġham kaTegī kaise jo abhī se Dar ga.e tum
vahāñ sham' kyā jalegī jahāñ bujh ga.e marāsim
vahāñ chāñd kyā karegā jahāñ shaam kar ga.e tum
mire sāmne paḌā hai abhī āñsuoñ kā dariyā
mire saath pāniyoñ meñ ye kahāñ utar ga.e tum
jahāñ dafn hai mohabbat baḌī be-vafā jagah thī
na kabhī udhar ga.e ham na kabhī udhar ga.e tum
kabhī aa ke dekh jaao mirī mahviyat kā 'ālam
vahī dard chun rahā huuñ jo bikher kar ga.e tum
mere sath chalte-chalte ye kahan Thahar gae tum
shab-e-gham kaTegi kaise jo abhi se Dar gae tum
wahan sham' kya jalegi jahan bujh gae marasim
wahan chand kya karega jahan sham kar gae tum
mere samne paDa hai abhi aansuon ka dariya
mere sath paniyon mein ye kahan utar gae tum
jahan dafn hai mohabbat baDi be-wafa jagah thi
na kabhi udhar gae hum na kabhi udhar gae tum
kabhi aa ke dekh jao meri mahwiyat ka 'alam
wahi dard chun raha hun jo bikher kar gae tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.