mere sath rishta banae hue hain
mire saath rishta banā.e hue haiñ
jo duniyā ke Dar se satā.e hue haiñ
kahānī meñ rakh kar haqīqat kī bāteñ
ham un kī kahānī sunā.e hue haiñ
hamīñ ne sikhā.ī haiñ bāteñ vafā kī
hamīñ se vo dāman bachā.e hue haiñ
vo haiñ kitne hairān ghar mere aa kar
ki jaise vo pahle bhī aa.e hue haiñ
vo samjhā rahe haiñ ġham-e-zindagī ko
jo ḳhud choT siine pe khaa.e hue haiñ
ye dīvāne shāyad haiñ us kī galī ke
jo nazroñ se mujh ko girā.e hue haiñ
vo ḳhāmosh nazroñ ko merā ishāra
sabhī mujh pe nazreñ jamā.e hue haiñ
maiñ tanhā thā pahle bhī tanhā rahūñgā
vo mujh se kyoñ dāman bachā.e hue haiñ
mere sath rishta banae hue hain
jo duniya ke Dar se satae hue hain
kahani mein rakh kar haqiqat ki baaten
hum un ki kahani sunae hue hain
hamin ne sikhai hain baaten wafa ki
hamin se wo daman bachae hue hain
wo hain kitne hairan ghar mere aa kar
ki jaise wo pahle bhi aae hue hain
wo samjha rahe hain gham-e-zindagi ko
jo KHud choT sine pe khae hue hain
ye diwane shayad hain us ki gali ke
jo nazron se mujh ko girae hue hain
wo KHamosh nazron ko mera ishaara
sabhi mujh pe nazren jamae hue hain
main tanha tha pahle bhi tanha rahunga
wo mujh se kyon daman bachae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.