mere safar mein hi kyun ye azab aate hain
mire safar meñ hī kyuuñ ye 'azāb aate haiñ
jidhar bhī jā.ūñ udhar hī sarāb aate haiñ
talāsh hai mujhe ab to unhīñ fazāoñ kī
jahāñ ḳhizāñ meñ bhī aksar gulāb aate haiñ
kisī ko miltā nahīñ ik charāġh mīloñ tak
kisī kī bastī meñ sau āftāb aate haiñ
na niklā kījiye rātoñ ko ghar se aap kabhī
saḌak pe raat meñ ḳhāna-ḳharāb aate haiñ
khulā makān hai har ek zindagī 'āzar'
havā ke saath darīchoñ se ḳhvāb aate haiñ
mere safar mein hi kyun ye 'azab aate hain
jidhar bhi jaun udhar hi sarab aate hain
talash hai mujhe ab to unhin fazaon ki
jahan KHizan mein bhi aksar gulab aate hain
kisi ko milta nahin ek charagh milon tak
kisi ki basti mein sau aaftab aate hain
na nikla kijiye raaton ko ghar se aap kabhi
saDak pe raat mein KHana-KHarab aate hain
khula makan hai har ek zindagi 'azar'
hawa ke sath darichon se KHwab aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.