mere sajda-e-ha-e-niyaz ko tere aastan ki talash hai
mere sajda-e-ha-e-niyaz ko tere aastan ki talash hai
Ameer Raza Mazhari
MORE BYAmeer Raza Mazhari
mire sajda-e-hā-e-niyāz ko tire āstāñ kī talāsh hai
kisī fard kī ye talab nahīñ ye to ik jahāñ kī talāsh hai
na.ī sarzamīñ kī hai justujū na.e āsmāñ kī talāsh hai
jo makāñ bhī Thiik na rakh sake unheñ lā-makāñ kī talāsh hai
mire pā-e-shauq-e-safar meñ haiñ abhī rāh-o-rasm kī bandisheñ
mujhe naqsh-e-pā kī hai justujū mujhe kārvāñ kī talāsh hai
jo ḳhizāñ-nasīb azal ke haiñ unheñ fasl-e-gul kī hai aarzū
vo jo thak chuke haiñ bahār se unheñ ab ḳhizāñ kī talāsh hai
ye mirā kamāl-e-musavvarī ye mirā shu.ūr-e-sanam-garī
abhī zauq husn-e-kasīf hai ise jism-o-jāñ kī talāsh hai
mirī zindagī kā fasāna kyā jo sināoñ shauq se aap ko
kisī mehrbāñ kī talāsh thī kisī mehrbāñ kī talāsh hai
jo qafas se chhūT ke aa.e ham kisī shāḳh ne bhī jagah na dī
haiñ chaman meñ aa ke bhī be-navā hameñ āshiyāñ kī talāsh hai
abhī qarz un kī nazar pe hai tire jalva-hā-e-majāz kā
jo haqīqatoñ se guzar chuke unheñ dāstāñ kī talāsh hai
tire dushmanoñ kī safoñ pe ye kisī daur meñ na chamak sakī
tirī teġh-e-nāz kī aaj tak sar-e-dostāñ kī talāsh hai
ḳhas-o-ḳhār ko bhī jo diye 'razā' tar-o-tāza rahne kā hausla
usī bāġhbāñ kī hai aarzū usī gulsitāñ kī talāsh hai
mere sajda-e-ha-e-niyaz ko tere aastan ki talash hai
kisi fard ki ye talab nahin ye to ek jahan ki talash hai
nai sarzamin ki hai justuju nae aasman ki talash hai
jo makan bhi Thik na rakh sake unhen la-makan ki talash hai
mere pa-e-shauq-e-safar mein hain abhi rah-o-rasm ki bandishen
mujhe naqsh-e-pa ki hai justuju mujhe karwan ki talash hai
jo KHizan-nasib azal ke hain unhen fasl-e-gul ki hai aarzu
wo jo thak chuke hain bahaar se unhen ab KHizan ki talash hai
ye mera kamal-e-musawwari ye mera shuur-e-sanam-gari
abhi zauq husn-e-kasif hai ise jism-o-jaan ki talash hai
meri zindagi ka fasana kya jo sinaon shauq se aap ko
kisi mehrban ki talash thi kisi mehrban ki talash hai
jo qafas se chhuT ke aae hum kisi shaKH ne bhi jagah na di
hain chaman mein aa ke bhi be-nawa hamein aashiyan ki talash hai
abhi qarz un ki nazar pe hai tere jalwa-ha-e-majaz ka
jo haqiqaton se guzar chuke unhen dastan ki talash hai
tere dushmanon ki safon pe ye kisi daur mein na chamak saki
teri tegh-e-naz ki aaj tak sar-e-dostan ki talash hai
KHas-o-KHar ko bhi jo diye 'raza' tar-o-taza rahne ka hausla
usi baghban ki hai aarzu usi gulsitan ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.