mere shajar tujhe mausam naya banate rahen
mire shajar tujhe mausam nayā banāte raheñ
gulāb-e-sabr tirī Tahniyoñ pe aate raheñ
jo dostoñ kī kamānoñ ko tiir detā hai
hameñ ye zarf bhī baḳhshe ki zaḳhm khāte raheñ
bas ik charāġh hai apnī mata-e-besh-bahā
so shaam aatī rahe ham use jalāte raheñ
sahar ke rañg darīchoñ ko sair karte jaa.eñ
havā ke jhoñke khule āñganoñ meñ aate raheñ
kabhī kabhī koī sūraj tulū hotā rahe
ridā-e-abr meñ taare bhī muñh chhupāte raheñ
fasīl-e-shahr-e-anā rafta rafta girtī jaa.e
ye zalzale mirī jaañ meñ hamesha aate raheñ
mere shajar tujhe mausam naya banate rahen
gulab-e-sabr teri Tahniyon pe aate rahen
jo doston ki kamanon ko tir deta hai
hamein ye zarf bhi baKHshe ki zaKHm khate rahen
bas ek charagh hai apni mata-e-besh-baha
so sham aati rahe hum use jalate rahen
sahar ke rang darichon ko sair karte jaen
hawa ke jhonke khule aanganon mein aate rahen
kabhi kabhi koi suraj tulu hota rahe
rida-e-abr mein tare bhi munh chhupate rahen
fasil-e-shahr-e-ana rafta rafta girti jae
ye zalzale meri jaan mein hamesha aate rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.