mere sheron mein aks-e-zindagi hai
mire sheroñ meñ aks-e-zindagī hai
jo dekhā hai sadā likkhā vahī hai
masarrat hai na āñkhoñ meñ namī hai
tabī.at meñ ajab afsurdagī hai
lagī thiiñ jis nasheman par nigāheñ
usī par taak ke bijlī girī hai
na samjhe muhsinoñ kī jo aziyyat
bhalā kis kaam kā vo aadmī hai
masāfat hai thakan hai aur maiñ huuñ
mire ham-rāh merī be-kasī hai
har ik ke dil meñ hai buġhz-o-adāvat
ye kaisā shahr-e-amn-o-āshatī hai
mafā.īlun mafā.īlun faūlun
ġhazal is bahr meñ 'farhat' tulī hai
mere sheron mein aks-e-zindagi hai
jo dekha hai sada likkha wahi hai
masarrat hai na aankhon mein nami hai
tabiat mein ajab afsurdagi hai
lagi thin jis nasheman par nigahen
usi par tak ke bijli giri hai
na samjhe muhsinon ki jo aziyyat
bhala kis kaam ka wo aadmi hai
masafat hai thakan hai aur main hun
mere ham-rah meri be-kasi hai
har ek ke dil mein hai bughz-o-adawat
ye kaisa shahr-e-amn-o-ashati hai
mafailun mafailun faulun
ghazal is bahr mein 'farhat' tuli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.