mere shuur ko is tarah warghalaya gaya
mire shu.ūr ko is tarah varġhalāyā gayā
koī vajūd nahīñ thā magar dikhāyā gayā
kisī tarah bhī na āseb-e-muflisī utrā
duā bhī kī ga.ī ta.avīz bhī pilāyā gayā
na jaane kyoñ mirī tashkīl hī nahīñ kī ga.ī
zamīñ kā chaak yūñhī be-sabab ghumāyā gayā
mujhe ḳhabar hai chhanāke se TuuT jā.egā
maiñ aa.ine ko agar der tak dikhāyā gayā
na jaane pichhle janam kaun sī ḳhatā huī thī
ki is janam meñ mujhe aadmī banāyā gayā
mere shuur ko is tarah warghalaya gaya
koi wajud nahin tha magar dikhaya gaya
kisi tarah bhi na aaseb-e-muflisi utra
dua bhi ki gai tawiz bhi pilaya gaya
na jaane kyon meri tashkil hi nahin ki gai
zamin ka chaak yunhi be-sabab ghumaya gaya
mujhe KHabar hai chhanake se TuT jaega
main aaine ko agar der tak dikhaya gaya
na jaane pichhle janam kaun si KHata hui thi
ki is janam mein mujhe aadmi banaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.