mere sine mein rah kar KHud mujhi se dushmani kab tak
mere sine mein rah kar KHud mujhi se dushmani kab tak
Anwar Ahmad Qureshi Nashtar
MORE BYAnwar Ahmad Qureshi Nashtar
mire siine meñ rah kar ḳhud mujhī se dushmanī kab tak
dil-e-nādān khā.egā fareb-e-dostī kab tak
mire ehsās ke sahrā jalegā tū yūñhī kab tak
bujhā.ūñ roz ashkoñ se maiñ terī tishnagī kab tak
alam-bardār ho tum laisa-lil-insān ke logo
rahoge tum zamāne meñ shikār-e-be-hisī kab tak
masā.il kā tumhāre hal nahīñ taqlīd-e-maġhrib meñ
kisī gum-karda manzil se umīd-e-rahbarī kab tak
'ġhazālī' 'rāzī'-o-'rūmī' kī taḳhlīqāt bhī dekho
karoge marx hegel Darvin kī pairvī kab tak
jhukāo sar ḳhudā ke sāmne ye sar-kashī chhoḌo
jabīn-e-kibr āḳhir be-niyāz-e-bandagī kab tak
jahān-e-chand-roza meñ kisī se dushmanī kaisī
hamārī zindagī kitnī hamārī dushmanī kab tak
jafā-pesha zamāne meñ vafā kī justujū 'nashtar'
guzāregā sarāboñ ke sahāre zindagī kab tak
mere sine mein rah kar KHud mujhi se dushmani kab tak
dil-e-nadan khaega fareb-e-dosti kab tak
mere ehsas ke sahra jalega tu yunhi kab tak
bujhaun roz ashkon se main teri tishnagi kab tak
alam-bardar ho tum laisa-lil-insan ke logo
rahoge tum zamane mein shikar-e-be-hisi kab tak
masail ka tumhaare hal nahin taqlid-e-maghrib mein
kisi gum-karda manzil se umid-e-rahbari kab tak
'ghazali' 'raazi'-o-'rumi' ki taKHliqat bhi dekho
karoge marx hegel Darwin ki pairwi kab tak
jhukao sar KHuda ke samne ye sar-kashi chhoDo
jabin-e-kibr aaKHir be-niyaz-e-bandagi kab tak
jahan-e-chand-roza mein kisi se dushmani kaisi
hamari zindagi kitni hamari dushmani kab tak
jafa-pesha zamane mein wafa ki justuju 'nashtar'
guzarega sarabon ke sahaare zindagi kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.