mere simTe lahu ka istiara le gaya koi
mire simTe lahū kā isti.ārā le gayā koī
mujhe phailā gayā har-sū kinārā le gayā koī
bas ab to māñgtā phirtā huuñ apne aap ko sab se
mirī sāñsoñ meñ jo kuchh thā vo saarā le gayā koī
badan meñ jo ḳhalāoñ kā nagar thā vo bhī ḳhālī hai
mirī tahzīb kā tanhā manāra le gayā koī
jahāñ se bhaag niklā thā vahīñ patthar huā āḳhir
mujhe sāñsoñ kī sarhad tak dobārā le gayā koī
azal se ab talak mujh ko ishāre kar rahā thā jo
shab-e-nā-āshnā se vo sitāra le gayā koī
mere simTe lahu ka istiara le gaya koi
mujhe phaila gaya har-su kinara le gaya koi
bas ab to mangta phirta hun apne aap ko sab se
meri sanson mein jo kuchh tha wo sara le gaya koi
badan mein jo KHalaon ka nagar tha wo bhi KHali hai
meri tahzib ka tanha manara le gaya koi
jahan se bhag nikla tha wahin patthar hua aaKHir
mujhe sanson ki sarhad tak dobara le gaya koi
azal se ab talak mujh ko ishaare kar raha tha jo
shab-e-na-ashna se wo sitara le gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.