Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere sipurd kahan wo KHazana karta tha

Ateequllah

mere sipurd kahan wo KHazana karta tha

Ateequllah

MORE BYAteequllah

    mire sipurd kahāñ vo ḳhazāna kartā thā

    sulūk kartā thā aur ġhā.ebāna kartā thā

    'ajīb us talab thī 'ajab thā asp-savār

    ki mulk-o-māl parvā zarā na kartā thā

    uThā rakhā thā usī par se e'tibār tamām

    aur intizār bhī us zamāna kartā thā

    safar-girafta rahe kushtagān-e-nān-o-namak

    koī hamāre liye faisla na kartā thā

    shi’ār-e-zīst hunar thā so ham na jaan sake

    jo kaam ham ne kiyā dūsrā na kartā thā

    fazā meñ haath to uTThe the ek saath ka.ī

    kisī ke vāste koī du'ā na kartā thā

    unhīñ gharoñ se 'ibārat thī apnī shām-e-jahāñ

    charāġh-e-tāq bhī aksar jalā na kartā thā

    tamām sūrat-e-tartīb us ko aatī hai

    agarche ḳhair ko shar se judā na kartā thā

    mere sipurd kahan wo KHazana karta tha

    suluk karta tha aur ghaebana karta tha

    'ajib us ki talab thi 'ajab tha asp-sawar

    ki mulk-o-mal ki parwa zara na karta tha

    uTha rakha tha usi par se e'tibar tamam

    aur intizar bhi us ka zamana karta tha

    safar-girafta rahe kushtagan-e-nan-o-namak

    koi hamare liye faisla na karta tha

    shi’ar-e-zist hunar tha so hum na jaan sake

    jo kaam hum ne kiya dusra na karta tha

    faza mein hath to uTThe the ek sath kai

    kisi ke waste koi du'a na karta tha

    unhin gharon se 'ibarat thi apni sham-e-jahan

    charagh-e-taq bhi aksar jala na karta tha

    tamam surat-e-tartib us ko aati hai

    agarche KHair ko shar se juda na karta tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now