mere sipurd kiya hai na KHud liya hai mujhe
mire sipurd kiyā hai na ḳhud liyā hai mujhe
kisī ne hairat-e-imkāñ meñ rakh diyā hai mujhe
bachā nahīñ maiñ zarā bhī badan ke bartan meñ
tire ḳhayāl ne be-sāḳhta piyā hai mujhe
tū ek shaḳhs hai lekin tirī mohabbat meñ
dil-o-dimāġh ne taqsīm kar diyā hai mujhe
maiñ apnī samt bhī dekhūñ to kufr lagtā hai
ḳhudā ne yaad baḌī chaah se kiyā hai mujhe
judā.ī ranj udāsī añdherā ḳhauf ghuTan
har ek yaar ne dil khol kar jiyā hai mujhe
tumhāre baa'd nahīñ ab kisī kī gunjā.ish
ki tum ne itnā mohabbat se bhar diyā hai mujhe
mere sipurd kiya hai na KHud liya hai mujhe
kisi ne hairat-e-imkan mein rakh diya hai mujhe
bacha nahin main zara bhi badan ke bartan mein
tere KHayal ne be-saKHta piya hai mujhe
tu ek shaKHs hai lekin teri mohabbat mein
dil-o-dimagh ne taqsim kar diya hai mujhe
main apni samt bhi dekhun to kufr lagta hai
KHuda ne yaad baDi chah se kiya hai mujhe
judai ranj udasi andhera KHauf ghuTan
har ek yar ne dil khol kar jiya hai mujhe
tumhaare ba'd nahin ab kisi ki gunjaish
ki tum ne itna mohabbat se bhar diya hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.