mere sukun meri har KHushi ko le Duba
mere sukun meri har KHushi ko le Duba
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
mire sukūn mirī har ḳhushī ko le Duubā
tirā fareb mirī zindagī ko le Duubā
charāġh-e-rāh se kuchh raushnī mayassar thī
havā kā zor usī raushnī ko le Duubā
tire visāl meñ raunaq thī mere chehre par
tirā firāq mirī tāzgī ko le Duubā
badalne vaalī thī taqdīr merā mustaqbil
mirā junūn mirī behtarī ko le Duubā
taraqqiyoñ ko tasalsul hai inkisārī meñ
ġhurūr aayā ki bas aadmī ko le Duubā
laboñ ne sabr tahammul ko khā liyā 'mashkūr'
sitam tumhārā mirī ḳhāmoshī ko le Duubā
mere sukun meri har KHushi ko le Duba
tera fareb meri zindagi ko le Duba
charagh-e-rah se kuchh raushni mayassar thi
hawa ka zor usi raushni ko le Duba
tere visal mein raunaq thi mere chehre par
tera firaq meri tazgi ko le Duba
badalne wali thi taqdir mera mustaqbil
mera junun meri behtari ko le Duba
taraqqiyon ko tasalsul hai inkisari mein
ghurur aaya ki bas aadmi ko le Duba
labon ne sabr tahammul ko kha liya 'mashkur'
sitam tumhaara meri KHamoshi ko le Duba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.