mere ujDe chaman mein bhi kabhi ya-rab bahaar aae
mere ujDe chaman mein bhi kabhi ya-rab bahaar aae
Shaikh Husain Salik
MORE BYShaikh Husain Salik
mire ujḌe chaman meñ bhī kabhī yā-rab bahār aa.e
ḳhizāñ har baar aa.ī mausam-e-gul ek baar aa.e
chalā huuñ maut aa.e raah meñ yā kū-e-yār aa.e
kisī sūrat se dil kī be-qarārī ko qarār aa.e
kaḌak bijlī kī sunte hī lipaT jaate haiñ siine meñ
garaj ai abr-e-bārāñ aisā mauqa baar baar aa.e
nigāhoñ meñ tirī jo kaif hai mai meñ kahāñ saaqī
agar tū dekh le duzdīda nazroñ meñ ḳhumār aa.e
tasadduq dil ko kar duuñ jaan ko qurbān kar Dālūñ
magar us bad-gumāñ ko kaash merā e.atibār aa.e
masīhā ban ke mujh ko maut ne chhuTkārā dilvāyā
phañse the aa ke daldal meñ baḌī mushkil se paar aa.e
ġham-o-andoh se baḌh kar aziyyat is kī hai 'sālik'
na koī monis-o-hamdam na koī ġham-gusār aa.e
mere ujDe chaman mein bhi kabhi ya-rab bahaar aae
KHizan har bar aai mausam-e-gul ek bar aae
chala hun maut aae rah mein ya ku-e-yar aae
kisi surat se dil ki be-qarari ko qarar aae
kaDak bijli ki sunte hi lipaT jate hain sine mein
garaj ai abr-e-baran aisa mauqa bar bar aae
nigahon mein teri jo kaif hai mai mein kahan saqi
agar tu dekh le duzdida nazron mein KHumar aae
tasadduq dil ko kar dun jaan ko qurban kar Dalun
magar us bad-guman ko kash mera eatibar aae
masiha ban ke mujh ko maut ne chhuTkara dilwaya
phanse the aa ke daldal mein baDi mushkil se par aae
gham-o-andoh se baDh kar aziyyat is ki hai 'salik'
na koi monis-o-hamdam na koi gham-gusar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.