mere waste wo adam hue jo saf-e-adu se nikal gae
mire vāste vo adam hue jo saf-e-adū se nikal ga.e
mirī mahfiloñ se nikal ga.e mirī guftugū se nikal ga.e
vo jo ek paanī kī buuñd thī tire bahr-e-zahr meñ zam huī
vo jo qatra-hā-e-sharāb the tirī āb-e-jū se nikal ga.e
jo maqām-e-lā pe khaḌe rahe saf-e-surḳh-rū meñ khaḌe rahe
jo maqām-e-lā se nikal ga.e saf-e-surḳh-rū se nikal ga.e
tire rang-o-bū ko bhī dekhte na ḳhayāl thā na majāl thī
jo sakat milī tujhe dekhne kī to rang-o-bū se nikal ga.e
hameñ sirf terī talāsh thī safar āsmāñ kā kiyā shurūa
abhī sang-e-mīl thā sātvāñ tirī justujū se nikal ga.e
the jo hukm-e-sajda pe mo'tariz ki sharār-e-dahr kā naaz the
vo fasīl-e-vaqt ko toḌ kar tire kāḳh-o-kū se nikal ga.e
mere waste wo adam hue jo saf-e-adu se nikal gae
meri mahfilon se nikal gae meri guftugu se nikal gae
wo jo ek pani ki bund thi tere bahr-e-zahr mein zam hui
wo jo qatra-ha-e-sharab the teri aab-e-ju se nikal gae
jo maqam-e-la pe khaDe rahe saf-e-surKH-ru mein khaDe rahe
jo maqam-e-la se nikal gae saf-e-surKH-ru se nikal gae
tere rang-o-bu ko bhi dekhte na KHayal tha na majal thi
jo sakat mili tujhe dekhne ki to rang-o-bu se nikal gae
hamein sirf teri talash thi safar aasman ka kiya shurua
abhi sang-e-mil tha satwan teri justuju se nikal gae
the jo hukm-e-sajda pe mo'tariz ki sharar-e-dahr ka naz the
wo fasil-e-waqt ko toD kar tere kaKH-o-ku se nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.