mere wahm-o-guman pe raat din chhai udasi hai
mire vahm-o-gumāñ pe raat din chhā.ī udāsī hai
pahan kar ḳhvāhishoñ kā ye badan aa.ī udāsī hai
parinda jism ke piñjre meñ aayā to bahut ḳhush thā
magar us ne sahar se shaam tak paa.ī udāsī hai
koī batlā.e ki ab kis tarah pā.ūñ sukūn-e-dil
mere is jism ke piñjre meñ dar aa.ī udāsī hai
chaman be-rang afsurda kalī har phuul be-ḳhushbū
bahāroñ kī fazā bhī is baras laa.ī udāsī hai
nazar aayā nahīñ mujh ko mirā gul-rang chehra jab
kahā ā.īne ne hazrat ye tanhā.ī udāsī hai
har ik sū shahr-e-dil-ārām meñ jashn-e-bahārāñ thā
fazā mere hī ghar āñgan kī kahlā.ī udāsī hai
ghaTā chhāte hī jaise dhuup chhaT jaatī hai āñgan kī
tujhe aate zarā dekhā to sharmā.ī udāsī hai
mere wahm-o-guman pe raat din chhai udasi hai
pahan kar KHwahishon ka ye badan aai udasi hai
parinda jism ke pinjre mein aaya to bahut KHush tha
magar us ne sahar se sham tak pai udasi hai
koi batlae ki ab kis tarah paun sukun-e-dil
mere is jism ke pinjre mein dar aai udasi hai
chaman be-rang afsurda kali har phul be-KHushbu
bahaaron ki faza bhi is baras lai udasi hai
nazar aaya nahin mujh ko mera gul-rang chehra jab
kaha aaine ne hazrat ye tanhai udasi hai
har ek su shahr-e-dil-aram mein jashn-e-bahaaran tha
faza mere hi ghar aangan ki kahlai udasi hai
ghaTa chhate hi jaise dhup chhaT jati hai aangan ki
tujhe aate zara dekha to sharmai udasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.