mere wajud ka aaina saf usi ne kiya
mere wajud ka aaina saf usi ne kiya
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
mire vajūd kā ā.īna saaf usī ne kiyā
usī ko karnā thā āḳhir muaaf usī ne kiyā
ye merā gosha-e-dil paak usī ke dam se hai
ki rāt-din kā yahāñ etakāf usī ne kiyā
binā batā.e vo dil meñ samā bhī saktā hai
utar ke dil meñ ye sab inkishāf usī ne kiyā
maiñ us ke ahd pe ab bhī huuñ muntazir us kā
ḳhud apne ahd se bhī inhirāf usī ne kiyā
varaq varaq meñ ibārat hī paḌhtā rahtā thā
maiñ lafz-bīñ thā mujhe mūshigāf usī ne kiyā
mere wajud ka aaina saf usi ne kiya
usi ko karna tha aaKHir muaf usi ne kiya
ye mera gosha-e-dil pak usi ke dam se hai
ki raat-din ka yahan etakaf usi ne kiya
bina batae wo dil mein sama bhi sakta hai
utar ke dil mein ye sab inkishaf usi ne kiya
main us ke ahd pe ab bhi hun muntazir us ka
KHud apne ahd se bhi inhiraf usi ne kiya
waraq waraq mein ibarat hi paDhta rahta tha
main lafz-bin tha mujhe mushigaf usi ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.