mere wajud pe kis baddua ka saya hai
mire vajūd pe kis badduā kā saaya hai
jise bhī apnā samajh luuñ vahī parāyā hai
na jaane kyoñ mirī āñkhoñ meñ ashk aaya hai
kisī ne dostī kā haath jab baḌhāyā hai
na intishār na shorish na koī hangāma
mirī hayāt pe yuuñ be-hisī kā saaya hai
tumhāre ghar ko bhī ik roz vo na baḳhshegā
tamāsh-bīno mirā jis ne ghar jalāyā hai
mire makāñ se ḳhushī aa ke lauT jaatī hai
udāsiyoñ ne mujhe yuuñ gale lagāyā hai
ġhamoñ kī dhuup meñ kaTtī hai zindagī 'aḳhtar'
vo koī aur hai jis par ḳhushī kā saayā hai
mere wajud pe kis baddua ka saya hai
jise bhi apna samajh lun wahi paraya hai
na jaane kyon meri aankhon mein ashk aaya hai
kisi ne dosti ka hath jab baDhaya hai
na intishaar na shorish na koi hangama
meri hayat pe yun be-hisi ka saya hai
tumhaare ghar ko bhi ek roz wo na baKHshega
tamash-bino mera jis ne ghar jalaya hai
mere makan se KHushi aa ke lauT jati hai
udasiyon ne mujhe yun gale lagaya hai
ghamon ki dhup mein kaTti hai zindagi 'aKHtar'
wo koi aur hai jis par KHushi ka saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.