mere wajud se aati hai ek sada mujhko
mire vajūd se aatī hai ik sadā mujh ko
ki mere jism se kar de koī judā mujh ko
mirī talāsh kā hāsil faqat tahayyur hai
maiñ kho gayā huuñ kahāñ ḳhud nahīñ patā mujh ko
maiñ apne jism ke andar simaT ke baiThā huuñ
bulā rahā hai kahīñ duur se ḳhudā mujh ko
maiñ tujh ko dekhūñ magar guftugū na kar pā.ūñ
ḳhudā ke vāste aisī na de sazā mujh ko
vo lahja ab bhī tasavvur meñ gūñjtā hai 'asar'
vo chehrā ab bhī dikhātā hai ā.īnā mujh ko
mere wajud se aati hai ek sada mujh ko
ki mere jism se kar de koi juda mujh ko
meri talash ka hasil faqat tahayyur hai
main kho gaya hun kahan KHud nahin pata mujh ko
main apne jism ke andar simaT ke baiTha hun
bula raha hai kahin dur se KHuda mujh ko
main tujh ko dekhun magar guftugu na kar paun
KHuda ke waste aisi na de saza mujh ko
wo lahja ab bhi tasawwur mein gunjta hai 'asar'
wo chehra ab bhi dikhata hai aaina mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.