mere zimme tere ghar ki nizamat hai
mire zimme tire ghar kī nizāmat hai
ye chāhat kī adā terī qayāmat hai
safar se thak ke aane par milī taskīñ
ye dekhā jab ki merā ghar salāmat hai
shikāyat kyoñ karo nākārā baiThe ho
ki sustī maut hī kī to 'alāmat hai
shikāyat hai shikāyat hai shikāyat hai
mirī har baat par tum ko malāmat hai
baḌī mushkil se khulte haiñ ye darvāze
mire dil ke kivāḌoñ meñ qadāmat hai
mere zimme tere ghar ki nizamat hai
ye chahat ki ada teri qayamat hai
safar se thak ke aane par mili taskin
ye dekha jab ki mera ghar salamat hai
shikayat kyon karo nakara baiThe ho
ki susti maut hi ki to 'alamat hai
shikayat hai shikayat hai shikayat hai
meri har baat par tum ko malamat hai
baDi mushkil se khulte hain ye darwaze
mere dil ke kiwaDon mein qadamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.