meri aadat hai main har rahbar se baat karta hun
mirī aadat hai maiñ har rāhbar se baat kartā huuñ
guzartā huuñ jo raste se shajar se baat kartā huuñ
maiñ tujh se baat karne ko tire kirdār meñ aa kar
idhar se phone kartā huuñ udhar se baat kartā huuñ
maiñ tere saath to ghar meñ baḌā ḳhāmosh rahtā thā
nahīñ maujūd tū ghar meñ to ghar se baat kartā huuñ
ḳhizāñ kā koī manzar mere andar raqs kartā hai
kabhī jo ban meñ gul se yā samar se baat kartā huuñ
suḳhan ke fan ko aise hī to zaa.e.a kar nahīñ saktā
so maiñ ḳhud se yā phir ahl-e-nazar se baat kartā huuñ
meri aadat hai main har rahbar se baat karta hun
guzarta hun jo raste se shajar se baat karta hun
main tujh se baat karne ko tere kirdar mein aa kar
idhar se phone karta hun udhar se baat karta hun
main tere sath to ghar mein baDa KHamosh rahta tha
nahin maujud tu ghar mein to ghar se baat karta hun
KHizan ka koi manzar mere andar raqs karta hai
kabhi jo ban mein gul se ya samar se baat karta hun
suKHan ke fan ko aise hi to zaea kar nahin sakta
so main KHud se ya phir ahl-e-nazar se baat karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.