meri aankhon ke har manzar ki har taswir mein tum ho
mirī āñkhoñ ke har manzar kī har tasvīr meñ tum ho
mirī guftār meñ tum ho mirī taqdīr meñ tum ho
tumheñ chāhā tumheñ māñgā tumheñ dil meñ basāyā hai
mire andar hai jo ābād us jāgīr meñ tum ho
bahut masrūf rahte ho kabhī milne nahīñ aate
na jaane kaun sī uljhī huī zanjīr meñ tum ho
mire ḳhvāboñ meñ aate ho haqīqat meñ nahīñ aate
nahīñ mere magar har ḳhvāb kī tā'bīr meñ tum ho
tumhāre vāste maiñ ne kabhī likkhā nahīñ kuchh bhī
magar jab paḌh rahī huuñ to mirī tahrīr meñ tum ho
hamesha māñgtī huuñ maiñ tumheñ apnī du'āoñ meñ
ḳhudā kā faisla ye hai mirī taqdīr meñ tum ho
meri aankhon ke har manzar ki har taswir mein tum ho
meri guftar mein tum ho meri taqdir mein tum ho
tumhein chaha tumhein manga tumhein dil mein basaya hai
mere andar hai jo aabaad us jagir mein tum ho
bahut masruf rahte ho kabhi milne nahin aate
na jaane kaun si uljhi hui zanjir mein tum ho
mere KHwabon mein aate ho haqiqat mein nahin aate
nahin mere magar har KHwab ki ta'bir mein tum ho
tumhaare waste main ne kabhi likkha nahin kuchh bhi
magar jab paDh rahi hun to meri tahrir mein tum ho
hamesha mangti hun main tumhein apni du'aon mein
KHuda ka faisla ye hai meri taqdir mein tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.